Friday, April 3, 2020

      A DAY SPEND IN THE LOCK DOWN


29-MARCh-2020. 

Aik khamosh subha ki aaghaz hoa jab kano mai shor-o-ghul ki waja se neend mai khalal paida hoa. Aik bar nai 2 bar nai  balky bar bar paida hoa to Akhir kar hathyar dalty hoe kano aur naino se parda utha kar dekha  k aik mamta bhari awaz kamry ma ghonj rai hai .Muny utho das baj rahy hain din charh gaya hai aur sath mai lalach b k nashta thanda ho raha hai bad mai nai bana k doun gi. Etc. allaa paanch mint bus itna bol k phir masoof sapno ki dunia ki raah li aur  tas se mas na hue jesy adh mary pary hue thy waisy e parhy rahy.Waisy .Apas ki bat hai jo angrayian lainy ka maza subha ki neend mai hai na wo kasam se is kurha-e-Arz mai majood kisi cheaz mai nai hai. Khair Jantaa tha   nashty ka lalach de k uthny k liye uksaa rai hai.

5 mint khatam hue ankh khuli to samny  ghari pe nazar parhi dekha sui pe sui charhi hoi thi matlb 12 baj rae hain.. Haiiin adha din soo k guzar liya.(Mera pehla tahsar). Shaitan se jehad karty hue razai ko lat maar k phenka aur uth k bahir agyaa.

SUBHAN ALLAH

Beikhtiyar mou se nikal gaya jab bahir ka mahol dekha halki halki boonda bani barish k nanny munny katry gulab ki pankariyun  ko choom rahy thy.Nihayat e dilfaraib manzer ki akasi kar rae thy.Aur is nazaary ko dil kar raha tha k bus daikhta e jaoon. Aur na e is se nazreen hatany ka jee cha raha tha. Is haseen manzar ki ik khas waja  b thi jo is ko ye mosam humy apni tarf mayael kaar raha tha .Wo thi Naroz.

NAROZ MUBARAK

Naroz k din shuru hai aur in dino mai masom sall ka behtreen mosam hota hai .Dhoop mai jaen to jism mai hararat paida hoti hai jo k zayada dair bethny se chubni b shuru ojati hai. Is k bar-akss agar ap chaoon mai betha pasand karen to ap ko thand b mehsoos hoti hai. Khair taro taza ho k nashty k sath sath bae-izti b khai.Ye apna roz ka mamool hai Be-izti na ho to khana b hazam nai hota.

 ALLAH O AKBAR

Nashta mukammal hoa bawaarchi khany se uth k bahir nikala faza mai  Allah o Akbar ki saddain buland ho rai th maloom hua k Zohar ki namaz ka waqt dakhal ho gaya hai. matlb ik baj raha hai Magar ye kya Azaan k sath ik ailaan b hua jis mai mozan ne bataya k beshak ap ky  masjid aany ki zarrorat nai hai brae mehrbani  na ayen aur gar mai e namaz ka aietmaam kar laein. G han ye ailaan is liye hua hai kyun k in dino aik moozi marz ik gandi waba CHORONA nami virus jo k  kafi bary paimany per dunia mai phela hoa hai. Is virus ki waja-e-shoorat ye hai k is kafi tabahi machi rakhi hai .Is ki khasiat kuch is tarah hai k ye apas mai gulny milny ik dosry ko choney se ye pahilta hai . Sirf aihtayah e hai jo ap ko is marz se door rakhti hai.Yanhi k seedh isi baat hai k koi kisi ka nai bus nafsi nafsi shaksi shaksi wala nazam chalu ho gaya hai.Aur sarkar ki janab se b awam o garon mai nazar band rahny  yahni qarrantina mai bethny ka kaha gaya hai.Khair dukh to hota hai banda gar aya hai aur azaeez o aqarab k sath rabta munqatah ho jata hai. Awam mai b khof ki lehar bar-qarar hai aur garon mai sabar-o-istaqam ki tasveer bani bethi hai.

 Aisi aur bkai batten dimagh mai chal rai thi k garden ghuma kar jab gari pe waqt dekha to 2 baj rae hain. Khair Allah Pak khiar kary. Mai utha aur naah dhoo k tayyar o kar mast atar laga kar abu k medical store ki tarf rukh kar liya wo is liye k  main ne peramedics ka diploma 5 saal pahly hasal kia hoa tha aur is shobay se kafi waqif hoon. Chunachy awam ki khidmat ko apna awaleen fareeza samajty hue mai bazar chala gaya.

Rasty mai mai ne bazar mai chand shahgoofay dekhy . Hua kuch is tarah k gaon ka namardar bazaar mai khara sarakr k hukam ko banay rakhny k liye awam ko chorona  virus se bachny k talqeen kar raha hai k soobhy mai dafha 144 nafaz hai aur 4 se zayada bandon ka ijtammah na lagay jae khilaf warzi karny waly k khilaf  qanooni karwai ka haq rakhy hai lehaza humy shikayat ka moqa nai dia jae.

SHUKRIA.
Mazy ki bat jo kkafi afsoski baat hai kay is kay aaajo bajoo 15 20 chamchamy namberdar k shana-ba-shana  kandy se kandha mila k khary hain .Is ki han mai han mila rae thy.Aue ye mohtram aityaat baratny ki talqeen kar rahy hain. Dousron ko naseehat aur Khud mian faseeehat. Kabi kabi mohtram  izzat mahab jinab wazeer-e-azam Pakistan Imran Ahmed Khan Niazi Sahab ki bat yad ati hai to dukh hota hai us k ba-qool k hum ne qoum ko shahoor dia hai. O yar khan ye qoum nai hai yar ye ajoom hai. Phir b agar un ko lag raha hai k us ne Shahoor dia to uski ye ghalt fehmi hai.Nazaar andaz kia store pe chala gaya. Aik Doo ganty dukhan pe faraez sar injam de k bazr se soda sulf utha k gar ki janab qadam barhaye.Khair dokan pe aur b kafi waqiat rohnuma hue wo phir kabi. 

Sham k paanch bajy wapas gar pouncha to ab beth k soch vicharr kar rah hoon k ab kya karun .Kisi ne sach kaha k keera boht dhadi matlb tagri cheaz hai  choty bhai ko apny sath mila k  cricket ka maila gar mai saja dai. Aur gar ko kahil k meedan mai bdal k rakh dia.DRAZ DRAZ DRAZ  gar k cahroon kny mai draz draz . dewaar ka safaid rang mai kaly kaly dhaby dal diye jis ne deewar ki khoobsoorti ka satya nas kar k rakh dia . khail khail mai choty bahi k ik kari zarb ne murghhion k dharby ki jali mai ik bara sorakh kar dia . Is k bad jo hum ne suna Wo Allah maaf kary bus hathyaar dal kar khail se kinara kashI ikhtayar ki. Isi mai apni khair afiat samji aur apni ghalti tasleem karty hue us ki maramti ka waada kar k apni ghalti ka azalla kar k dono bhai apni apni raah chal diye. 

KRUCK KRUCK KRUCK

Murghy wapas pinjry ki aur barh hain. Andhera chany laga hai matlb 7 bajny lagy hai . Aur dobara badal barasny lagy to mosam ne ik dafa phir karwat li aur sham ka maza dobaala kar dia. Aur hum jo k nakamy saandh aj kal gar mai faltoo charh rahy hain. Jaa k ami k kano mai pakooron ki farmaish dal di. Thori mehnat aur jad-o-jehad k bad Maa in is bat mai han bhaar lai. Laken Ma aka is bat pe israr tha k pakaron k bad ap ki roti ki gunjaish ni reh gai aur rat ko phir fridge mai takren marty raho gy. Khair jab pakory ban’ny lagy to sath mai chae ka hukam nama jari kar dia . Ab chae k baghair pakory bat koi jamti nai na g . chae ho aur pakory na ho ya pakory hoon aur chae na ho zayadti hai na g. Khair chae aur pakory to tanawal farma liye.  Ab kya kia jae. Abi isi kashmakash mai tha k yad aya.

 BLOG HAN HAN BLOG
Blog register karty hue pasandeeda mashghlon mai hum ne shatrang ka b zikar kia tha. Aur waqt ka taqasa b yai hai qaranteeny mai hai sara din aisa e nakara nikal jata hai chalo thora waqt ko b Dhaka lagaty hai sath mai thora damagh b shatar ho jae ga . Chunachay apni challen aazmany   k liye samny bhai ko dawwat nama thama dia. Khair us ne apni masroofiyat tark kar k mery sath shatranj k meedan mai aa gaya . Taqbreen koi aik dedh ganty K bad hum dono k maabain khely jany waly khel ka hatmii aur sarkari nateeja mari jeet ki surat mai aaya .Aur choty ko is imtehan mai shikast ka samna karna parha.
Rat ki das baj aur sath e rasoi gar se khana khany ka nayota aya. Mai apni tashreef ka tokra le k rasoi gar muntaqil o gaya . Jab khany k chand luqmy halq se neachy utery to ami ki phati phati nazren mery upper markoz. Wo samaj rai thi k chand garhi kabal is ne pakory khaye thy aur ye abi b badastoor laga hoa hai ye to aj kal matawazan ghaza pe charha hai.Un ki baat b theak hai Laken mai b kya karoo khany se thori dair pahly mai  epitizer liya hoa hai

EPITIZER HHAAHAHA.

Shukar Allkham do lillah.

Khany k bad dua parhi upper wally ka shukar baja laya.

Tu tru tru tu  tu tru tru  tu  tu tru tru tu

Asalam-o-Alikum . Geo news k sath mai hoon Muhammad Junaid
Aur mai hoon Rabia Anam

Sab se pahly aehm aehm khabron ka khulasa  yani k Headlines
9 bjy k khabarnamy k hamrah mai ne quomi aur bain-u-aqwami ka halaat o waqiat pe nazar dalhi. Sath mai kuch khajooren b chabaiii. Dunia ko aisy tarap tarap k faana hota hue dakh k afsoso b hua. Rab k hazoor dua kai K ALLAH  sub ko apni hifz-o-aman mai rakhy.

(AMMEN)

 10 bjy sabaz pati ka qauwa pia . Is k bad khatati ka shouq charha hoa hai masoof ko aj kal. Sehai ki dawat mai qalam ko mutahadad bar dubkian lagwa k apny hath ko thora durast simat mai laya. Aur gar walon k kharaton ka be-chani se intezr karny laga kyun k mujy tambakoo,Noshi ki talab hho rai hai Kafi dair in ki neend ka muntazir rahny k bad jab kharatoon ki awaz mery kano pe reengny lagi to chat pe jaa k thori chail qadmi ki aur sath mai cigerrette sulgaya aur jab dhooan thora hulaaq se neachy utra to qararaya. Cigerrettee peny k bad wapas nechy kamry mai aya aur apny din ki rudad ko jo k takroon mai qiston mai waqfy waqfy se tehrer ki hui  thi is ko hatmi shakal deny taak k agar kuch masly masaiel hoon to un mai thora rad-o-badal thori tarmeem kar k is ko moozon tareeqy se paish kia jai.

Ye aj mery sary din ki karastani hai  jo mai ne sara din gul khilaye hai wo is mai ne qalam band kiye hain aur  ap k sath  bantany ja rahaa hoon .
 Abi phir sui pe sui charh gai hai aur zabardasti ya majbooran keh sakty ho  sony ka time ho gaya hai.Kyun k bijli ka bill b aaa gay hai aur subaha uski akhri tareekh hai agar jama na karaya to khan makhaa ka jurmany ka izafa ho jae ga.Aur is ki zimdari ka bojh b mery kandhon pe hai.

Khair rudad yahan apnu ikhtamam ko pounchi. Ab mery aur mery muzafaat mai sony ka waqt hua chahta hai.  Kya  faida   neend to ay gai nai kyun k mujy thora insomnia ki b shikayat is umer mai der paish hai .Ap sub se duon ki darkhawast hai k mera ye masla khatam ho jae. Hallan k is ki waja se zindgi mai kafi dhachky b kha chukka hoon. Ap mery liye dua Karen mai ap k liye dua mangta hoon .Allah pak ap ko tandurust o tawana rakhy jahan b rakhy jis haal mai b rakhy khush rakhy .

Abi pata nai shab baidari ho gai ya karwaten badalta rahoon ga . Ya phir seedha ghory bech k so jaon ga. Be shak Allah pak behtar janta hai.

Shab-Ba-Khair dosto.
  

No comments:

Post a Comment